banjar meri aankhon ki aas ho tum
mere lab-e-khushk ki pyaas ho tum
bad-kaar zakhamon ko chhupaaoon kaise
manzar mere aib libaas ho tum
pehchaan lete ho meri khamoshi
zalim jahaan dard-shanaas ho tum
kadvi hai har ghoont magar hai peena
is dehr mein ek mithaas ho tum
tum tod mat dena bharam ye mera
mera bharam hai mere paas ho tum
बंजर मेरी आंँखों की आस हो तुम
मेरे लब-ए-ख़ुश्क की प्यास हो तुम
बद-कार ज़ख़्मों को छुपाऊंँ कैसे
मंज़र मेरे ऐब लिबास हो तुम
पहचान लेते हो मेरी ख़मोशी
ज़ालिम जहांँ दर्द-शनास हो तुम
कड़वी है हर घूंँट मगर है पीना
इस दहर में एक मिठास हो तुम
तुम तोड़ मत देना भरम ये मेरा
मेरा भरम है मेरे पास हो तुम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tausif Raza
our suggestion based on Tausif Raza
As you were reading Nazara Shayari Shayari