usi mod par phir se aa kar khada hoon | उसी मोड़ पर फिर से आ कर खड़ा हूँ

  - Toyesh prakash

usi mod par phir se aa kar khada hoon
jahaan pyaar mein bhi khudi main ada hoon

mujhe roothna hai usi ki tarah to
magar ye na kehna ke main ab bada hoon


chhalakta hoon ghazlen to lagta hai jaise

bhara sa kisi ka koi main ghada hoon
mujhe dekh duniya mein aa kar gira hoon

khuda ke main daaman se jaise jhadraa hoon
samay ka bada khel hai tum bhi dekho

jahaan tha kabhi main wahin ab khada hoon

उसी मोड़ पर फिर से आ कर खड़ा हूँ
जहाँ प्यार में भी ख़ुदी मैं अड़ा हूँ

मुझे रूठना है उसी की तरह तो
मगर ये न कहना के मैं अब बड़ा हूँ


छलकता हूँ ग़ज़लें तो लगता है जैसे

भरा सा किसी का कोई मैं घड़ा हूँ
मुझे देख दुनिया में आ कर गिरा हूँ

ख़ुदा के मैं दामन से जैसे झड़ा हूँ
समय का बड़ा खेल है तुम भी देखो

जहाँ था कभी मैं वहीं अब खड़ा हूँ

  - Toyesh prakash

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Toyesh prakash

As you were reading Shayari by Toyesh prakash

Similar Writers

our suggestion based on Toyesh prakash

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari