gham bhulaane ka hamein koi bahaana to mile | ग़म भुलाने का हमें कोई बहाना तो मिले

  - Usha Shafaq

gham bhulaane ka hamein koi bahaana to mile
shab-e-furqat ka har ik lamha suhaana to mile

mandir-o-masjid-o-ma'bad ho ki may-khaana ho
sar jhukaane ke liye koi thikaana to mile

bazm-e-khaamosh ki aahat ho ki patjhad ka sukoon
aish-o-gham ham ko yahan shaana-b-shaana to mile

ye tasalli sahi yaad aayi to vo bhi aaye
mere ehsaas-e-gham-e-dil ka nishaana to mile

sirf taqdeer mein ho sehra-navardi jis ki
mujh sa duniya mein koi aisa deewaana to mile

apne ashkon pe utha le koi ishrat ka bojh
waqt ki raah mein ab aisa zamaana to mile

mashq-e-yaaraan-e-sitam sehan-e-gulistaan mein hai
subh-dam jashn-e-bahaaraan ka fasana to mile

shaamiyaana ho sitaaron ka mere aangan mein
meri qismat mein shafaq aisa gharaana to mile

ग़म भुलाने का हमें कोई बहाना तो मिले
शब-ए-फ़ुर्क़त का हर इक लम्हा सुहाना तो मिले

मंदिर-ओ-मस्जिद-ओ-मा'बद हो कि मय-ख़ाना हो
सर झुकाने के लिए कोई ठिकाना तो मिले

बज़्म-ए-ख़ामोश की आहट हो कि पतझड़ का सुकूँ
ऐश-ओ-ग़म हम को यहाँ शाना-ब-शाना तो मिले

ये तसल्ली सही याद आई तो वो भी आए
मेरे एहसास-ए-ग़म-ए-दिल का निशाना तो मिले

सिर्फ़ तक़दीर में हो सहरा-नवर्दी जिस की
मुझ सा दुनिया में कोई ऐसा दीवाना तो मिले

अपने अश्कों पे उठा ले कोई इशरत का बोझ
वक़्त की राह में अब ऐसा ज़माना तो मिले

मश्क़-ए-यारान-ए-सितम सेहन-ए-गुलिस्ताँ में है
सुब्ह-दम जश्न-ए-बहाराँ का फ़साना तो मिले

शामियाना हो सितारों का मिरे आँगन में
मेरी क़िस्मत में 'शफ़क़' ऐसा घराना तो मिले

  - Usha Shafaq

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Usha Shafaq

As you were reading Shayari by Usha Shafaq

Similar Writers

our suggestion based on Usha Shafaq

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari