isee tamannaa mein dil ka charaagh jalta hai | इसी तमन्ना में दिल का चराग़ जलता है

  - Usha Shafaq

isee tamannaa mein dil ka charaagh jalta hai
ki us ke noor se ehsaas-e-gham sambhalta hai

hujoom-e-ranj-o-mehn mein qaza ko bahlāya
ki waqt saans ke naqsh-e-qadam pe chalta hai

kisi ki gardish-e-ayyaam par nazar na rahi
ki shaam hote hi suraj bhi roz dhalt hai

ye dard azmat-e-imkaan ki had se baahar hai
ye zakham vo hai jo aaghosh-e-gham mein palta hai

mugaalaton mein andheron ke zindagi guzri
mili hai raushni jab bhi to dam nikalta hai

ye neend palkon ka jo fasla hai rahne de
bas is tarah tire wahshi ka dil bahalta hai

kiya hai aise masaail ne muztarib dil ko
har ek ashk-e-'shafaq gham ka rukh badalta hai

इसी तमन्ना में दिल का चराग़ जलता है
कि उस के नूर से एहसास-ए-ग़म सँभलता है

हुजूम-ए-रंज-ओ-मेहन में क़ज़ा को बहलाया
कि वक़्त साँस के नक़्श-ए-क़दम पे चलता है

किसी की गर्दिश-ए-अय्याम पर नज़र न रही
कि शाम होते ही सूरज भी रोज़ ढलता है

ये दर्द अज़्मत-ए-इम्काँ की हद से बाहर है
ये ज़ख़्म वो है जो आग़ोश-ए-ग़म में पलता है

मुग़ालतों में अँधेरों के ज़िंदगी गुज़री
मिली है रौशनी जब भी तो दम निकलता है

ये नींद पलकों का जो फ़ासला है रहने दे
बस इस तरह तिरे वहशी का दिल बहलता है

किया है ऐसे मसाइल ने मुज़्तरिब दिल को
हर एक अश्क-ए-'शफ़क़' ग़म का रुख़ बदलता है

  - Usha Shafaq

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Usha Shafaq

As you were reading Shayari by Usha Shafaq

Similar Writers

our suggestion based on Usha Shafaq

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari