tamaam khwaabon ki aankhen | तमाम ख़्वाबों की आँखें

  - Varsha Gorchhia

tamaam khwaabon ki aankhen
adhoore fasaane ke aakhiri geet ko
tumhaari aankhon se sunna chaahengi
dard fasurda raaton ke zard chehre
tumhaari parchaaiyon mein panaah dhundenge
raushan yaadon ke murda murjhaaye badan
kaanch ki moti dhundli deewaar mein dafn rahenge
ummeedon ke janaaze roz uthenge
cheekh'on ke halk se zabaanen kheench li jaayengi
aahon ke qad katwa diye jaayenge
tumhein pukaaroongi bhi to kaise
magar ta-umr ye nazrein tumhein dhundenngi

तमाम ख़्वाबों की आँखें
अधूरे फ़साने के आख़िरी गीत को
तुम्हारी आँखों से सुनना चाहेंगी
दर्द फ़सुर्दा रातों के ज़र्द चेहरे
तुम्हारी परछाइयों में पनाह ढूँडेंगे
रौशन यादों के मुर्दा मुरझाए बदन
काँच की मोटी धुँदली दीवार में दफ़्न रहेंगे
उम्मीदों के जनाज़े रोज़ उठेंगे
चीख़ों के हल्क़ से ज़बानें खींच ली जाएँगी
आहों के क़द कटवा दिए जाएँगे
तुम्हें पुकारूँगी भी तो कैसे
मगर ता-उम्र ये नज़रें तुम्हें ढूँडेंगी

  - Varsha Gorchhia

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Varsha Gorchhia

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari