hijr mein raat kaatee pata hai
yaad karte nahin tum ye kya hai
ab rulaane ka sabka hunar hai
dil dukhaane ki teri ada hai
taar dil ke pareshaan bahut hain
tera khat mere ghar mein rakha hai
dekho aise na tadpaao mujhko
jaan lekin tumhein ye maza hai
dil mein baatein chipaati nahin ho
zikr ye maine sabse suna hai
ishq ki baat ab kyun ki jaaye
ye suna shakhs vo to khala hai
baat uski ye taameel hogi
usne shaadi ka mujhse kaha hai
hijr mein tere hanste bahut hain
jaan meri ye bhi ik kalaa hai
jis ghadi chain aa jaaye mujhko
so batao yahan ye fazaa hai
हिज्र में रात काटी पता है
याद करते नहीं तुम ये क्या है
अब रुलाने का सबका हुनर है
दिल दुखाने की तेरी अदा है
तार दिल के परेशाँ बहुत हैं
तेरा ख़त मेरे घर में रखा है
देखो ऐसे न तड़पाओ मुझको
जान लेकिन तुम्हें ये मज़ा है
दिल में बातें छिपाती नहीं हो
ज़िक्र ये मैंने सबसे सुना है
इश्क़ की बात अब क्यों की जाए
ये सुना शख़्स वो तो ख़ला है
बात उसकी ये तामील होगी
उसने शादी का मुझसे कहा है
हिज्र में तेरे हँसते बहुत हैं
जान मेरी ये भी इक कला है
जिस घड़ी चैन आ जाए मुझको
सो बताओ यहाँ ये फ़ज़ा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Andhera Shayari Shayari