ik ladki ka suno mujhe ab intizaar hai
aaye vo mere ghar mein mujhe jis se pyaar hai
ye dil bhi dekho kis pe mara mera khair ho
ye usse pyaar karta hai jo dariya paar hai
main jo udaas rehta hoon bechaini hai mujhe
ye yaaron mujhko ishq ka ab to bhuhaar hai
yaa main taras raha hoon use koi gham nahin
ik yaar mera husn se so maal daar hai
ik ladki ko bahut hi mohabbat thi mujhse bhi
ye saara qissa ab to yahan yaadgaar hai
tum kitna bhi kaho vo bura hai nahin hai vo
khud se ziyaada us pe mujhe etbaar hai
khud ko gulaab kehta hai paagal hai vo bahut
meri nazar mein ek vo bhi yaaron khaar hai
ab dekhte hain kaun mera hone deta nain
ab saath mere mera bhi parvardigaar hai
इक लड़की का सुनो मुझे अब इंतिज़ार है
आए वो मेरे घर में मुझे जिस से प्यार है
ये दिल भी देखो किस पे मरा मेरा ख़ैर हो
ये उससे प्यार करता है जो दरिया पार है
मैं जो उदास रहता हूँ बेचैनी है मुझे
ये यारों मुझको इश्क़ का अब तो बुख़ार है
याँ मैं तरस रहा हूँ उसे कोई ग़म नहीं
इक यार मेरा हुस्न से सो माल दार है
इक लड़की को बहुत ही मोहब्बत थी मुझसे भी
ये सारा क़िस्सा अब तो यहाँ यादगार है
तुम कितना भी कहो वो बुरा है नहीं है वो
ख़ुद से ज़ियादा उस पे मुझे एतबार है
ख़ुद को गुलाब कहता है पागल है वो बहुत
मेरी नज़र में एक वो भी यारों ख़ार है
अब देखते हैं कौन मिरा होने देता नइँ
अब साथ मेरे मेरा भी परवरदिगार है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Bechaini Shayari Shayari