mujhe vo husn apna ab dikhaayega
suno vo chaar baatein phir sunaayega
qasam khaai mujhe barbaad karne ki
yahan to hijr se apne vo khayega
hoon kitna dil joo phir bhi maar daala hai
fulaan ladka use ab khaak bhaayega
pareshaan ho gaya hoon baat sun ke ab
suna hai vo mujhe bhi chhod jaayega
mujhe vo jaam dega ab ishaare mein
mera saaqi mujhe jannat ghumaayega
sanam mera hai mausam ki tarah yaaron
mujhe vo yaad mein apni rulaayega
mujhe vo hosh mein aane nahin dega
mera vo yaar aankhon se pilaayega
मुझे वो हुस्न अपना अब दिखाएगा
सुनो वो चार बातें फिर सुनाएगा
क़सम खाई मुझे बरबाद करने की
यहाँ तो हिज्र से अपने वो खाएगा
हूँ कितना दिल जू फिर भी मार डाला है
फ़ुलाँ लड़का उसे अब ख़ाक भाएगा
परेशाँ हो गया हूँ बात सुन के अब
सुना है वो मुझे भी छोड़ जाएगा
मुझे वो जाम देगा अब इशारे में
मेरा साक़ी मुझे जन्नत घुमाएगा
सनम मेरा है मौसम की तरह यारों
मुझे वो याद में अपनी रुलाएगा
मुझे वो होश में आने नहीं देगा
मिरा वो यार आँखों से पिलाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Husn Shayari Shayari