main usko bhulaata raha dheere dheere | मैं उसको भुलाता रहा धीरे धीरे - Vaseem 'Haidar'

main usko bhulaata raha dheere dheere
koi ghar mein aata raha dheere dheere

kisi ki nahin aas mujhko kahi bhi
main khud ko hansaata raha dheere dheere

tu raunaq hai is duniya ki mera kya hai
main duniya se jaata raha dheere dheere

kisi aur ke saath vo kaise khush hai
yahi gham manaata raha dheere dheere

vo aayegi khwaabon mein ab sabr to rakh
ye kah kar sulaata raha dheere dheere

mujhe ishq apna vo de kyun bhala ab
use aur bhaata raha dheere dheere

mujhe laash apni le jaani thi khud hi
so khud hi uthaata raha dheere dheere

tasavvur se tere mera peecha chhoote
main khud ko pilaata raha dheere dheere

मैं उसको भुलाता रहा धीरे धीरे
कोई घर में आता रहा धीरे धीरे

किसी की नहीं आस मुझको कहीं भी
मैं ख़ुद को हँसाता रहा धीरे धीरे

तू रौनक़ है इस दुनिया की मेरा क्या है
मैं दुनिया से जाता रहा धीरे धीरे

किसी और के साथ वो कैसे ख़ुश है
यही ग़म मनाता रहा धीरे धीरे

वो आएगी ख़्वाबों में अब सब्र तो रख
ये कह कर सुलाता रहा धीरे धीरे

मुझे इश्क़ अपना वो दे क्यूँ भला अब
उसे और भाता रहा धीरे धीरे

मुझे लाश अपनी ले जानी थी ख़ुद ही
सो ख़ुद ही उठाता रहा धीरे धीरे

तसव्वुर से तेरे मिरा पीछा छूटे
मैं ख़ुद को पिलाता रहा धीरे धीरे

- Vaseem 'Haidar'
0 Likes

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari