mujhe koi to apne ghar bulaayega
mujhe koi to palkon par sajaayega
main baitha rehta hoon ik aas mein uski
kabhi to vo mere ghar pe bhi aayega
bulane ki use koshish karoon lekin
vo apne saath kiski yaadein laayega
mujhe ik baar tum mar jaane do yaaron
mujhe vo apne haathon mein uthaaega
bahut hi jald aisa din ye aayega
meri tasveer fonon se churaayega
mujhe ye ilm bilkul bhi nahin tha vo
kisi ke naam ki mehndi lagaayega
bahut hansta hai meri baaton par dilbar
vo aisa karke ik din dhokha khayega
मुझे कोई तो अपने घर बुलाएगा
मुझे कोई तो पलकों पर सजाएगा
मैं बैठा रहता हूँ इक आस में उसकी
कभी तो वो मिरे घर पे भी आएगा
बुलाने की उसे कोशिश करूँ लेकिन
वो अपने साथ किसकी यादें लाएगा
मुझे इक बार तुम मर जाने दो यारों
मुझे वो अपने हाथों में उठाएगा
बहुत ही जल्द ऐसा दिन ये आएगा
मेरी तस्वीर फ़ोनों से चुराएगा
मुझे ये इल्म बिलकुल भी नहीं था वो
किसी के नाम की मेहँदी लगाएगा
बहुत हँसता है मेरी बातों पर दिलबर
वो ऐसा करके इक दिन धोखा खाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Ghar Shayari Shayari