kahi shunvaai nahin husn ki mehfil ke khilaaf
gul na kyun hanste rahein shor-e-anaadil ke khilaaf
jaan-o-imaan bhi wahi dushman-e-jaan-o-imaan
ham gawaahi bhi na denge kahi qaateel ke khilaaf
kisi jaade pe chalo chhodega tanhaai na saath
qadam utthen to kidhar ishq ki manzil ke khilaaf
bazm-e-yaaraan ho ki may naghma ke faizaan-e-sukhan
sab hain saazish mein shareek us ki mere dil ke khilaaf
hijr mein jee ke bahlne ke the jitne heele
vehshat ik saath rahi ho gaye sab mil ke khilaaf
isee aaghosh mein dam todenge aa kar maujen
bhaagti phirti hain bekar hi saahil ke khilaaf
aql-e-duniya ka tumhein da'wa hai be-wajh waheed
do-qadam chal nahin sakte kabhi tum dil ke khilaaf
कहीं शुनवाई नहीं हुस्न की महफ़िल के ख़िलाफ़
गुल न क्यूँ हँसते रहें शोर-ए-अनादिल के ख़िलाफ़
जान-ओ-ईमाँ भी वही दुश्मन-ए-जान-ओ-ईमाँ
हम गवाही भी न देंगे कहीं क़ातिल के ख़िलाफ़
किसी जादे पे चलो छोड़ेगी तन्हाई न साथ
क़दम उट्ठें तो किधर इश्क़ की मंज़िल के ख़िलाफ़
बज़्म-ए-याराँ हो कि मय नग़्मा के फ़ैज़ान-ए-सुख़न
सब हैं साज़िश में शरीक उस की मिरे दिल के ख़िलाफ़
हिज्र में जी के बहलने के थे जितने हीले
वहशत इक साथ रही हो गए सब मिल के ख़िलाफ़
इसी आग़ोश में दम तोड़ेंगी आ कर मौजें
भागती फिरती हैं बेकार ही साहिल के ख़िलाफ़
अक़्ल-ए-दुनिया का तुम्हें दा'वा है बे-वज्ह 'वहीद'
दो-क़दम चल नहीं सकते कभी तुम दिल के ख़िलाफ़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waheed Akhtar
our suggestion based on Waheed Akhtar
As you were reading Mehman Shayari Shayari