karam-khurda kaaghazon ke dher mein madfoon hai
chaatta hai harf harf
daayere qausain san taarikh aadaad o shumaar
nuqta o zer-o-zabar tashdeed o mad
hasil-e-beenaai o zauq-e-nazar
baandhta hai vaham o takhmeen o gumaan ke kuchh hisaar
choomta hai katba-e-lauh-e-mazaar
chand nuqte ud gaye hain lafz kuchh kaawaak hain
us ki nazaron mein khazeena ilm ka khaar o khas-o-khaashaak hain
kya alaayem kya rumooz ishkaal alfaaz o huroof
aatish-e-taghaeer ke haathon pighal jaate hain sab
waqt ki bhatti mein tap kar ik naye saanche mein dhal jaate hain sab
lamha lamha munkashif hota hua sar-e-hayaat
munjamid alfaaz ke seene mein apna noor failaata nahin
karam-khurda kaaghazon ki laash mein
khun apna daudata nahin
karam-kaaghaz hai hareef-e-roz-o-shab
chaatta hai fuzl-e-ilm-o-adab
aur sar akdaae khallaqaan-e-ma'ni ki taraf khanda-b-lab
करम-ख़ुर्दा काग़ज़ों के ढेर में मदफ़ून है
चाटता है हर्फ़ हर्फ़
दाएरे क़ौसैन सन तारीख़ आदाद ओ शुमार
नुक़्ता ओ ज़ेर-ओ-ज़बर तश्दीद ओ मद
हासिल-ए-बीनाई ओ ज़ौक़-ए-नज़र
बाँधता है वहम ओ तख़मीन ओ गुमाँ के कुछ हिसार
चूमता है कतबा-ए-लौह-ए-मज़ार
चंद नुक़्ते उड़ गए हैं लफ़्ज़ कुछ कावाक हैं
उस की नज़रों में ख़ज़ीना इल्म का ख़ार ओ ख़स-ओ-ख़ाशाक हैं
क्या अलाएम क्या रुमूज़ इश्काल अल्फ़ाज़ ओ हुरूफ़
आतिश-ए-तग़ईर के हाथों पिघल जाते हैं सब
वक़्त की भट्टी में तप कर इक नए साँचे में ढल जाते हैं सब
लम्हा लम्हा मुन्कशिफ़ होता हुआ सर-ए-हयात
मुंजमिद अल्फ़ाज़ के सीने में अपना नूर फैलाता नहीं
करम-ख़ुर्दा काग़ज़ों की लाश में
ख़ूँ अपना दौड़ाता नहीं
करम-काग़ज़ है हरीफ़-ए-रोज़-ओ-शब
चाटता है फ़ुज़्ल-ए-इल्म-ओ-अदब
और सर अकड़ाए ख़ल्लाक़ान-ए-मअ'नी की तरफ़ ख़ंदा-ब-लब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waheed Akhtar
our suggestion based on Waheed Akhtar
As you were reading Education Shayari Shayari