aankh hasi
phir kaali kaloti raat hasi
phir raat ka panchi
far far karta
mere oopar mandalaaya
aur nange mast pahaad ne yak dam
aankh jhuka kar
bhari patthar ludhkaaya
vo patthar doosre patthar se takra kar toota
ludhak gaya
phir us ke sakht nukeele tukde
laakhon ludhkate tukdon ka sailaab bane
aur nangaa mast pahaad hansa
girdaab badha
aur hasi ka halka tang hua
main kaanp utha
main darne laga
tab main ne aachaanak
phaile hue aakaash ki jaanib
rehm talab nazaron se dekha
taaron ne aakaash ko chhalni kar daala tha
chaand udhadti hasi ka favvaara sa ban kar
naach raha tha
आँख हँसी
फिर काली कलोटी रात हँसी
फिर रात का पंछी
फड़ फड़ करता
मेरे ऊपर मंडलाया
और नंगे मस्त पहाड़ ने यक दम
आँख झुका कर
भारी पत्थर लुढ़काया
वो पत्थर दूसरे पत्थर से टकरा कर टूटा
लुढ़क गया
फिर उस के सख़्त नुकीले टुकड़े
लाखों लुढ़कते टुकड़ों का सैलाब बने
और नंगा मस्त पहाड़ हँसा
गिर्दाब बढ़ा
और हँसी का हल्क़ा तंग हुआ
मैं काँप उट्ठा
मैं डरने लगा
तब मैं ने आचानक
फैले हुए आकाश की जानिब
रहम तलब नज़रों से देखा
तारों ने आकाश को छलनी कर डाला था
चाँद उधड़ती हँसी का फ़व्वारा सा बन कर
नाच रहा था
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Wazir Agha
As you were reading Khushi Shayari Shayari