surkh laave ki tarah tap ke nikhrana seekho | सुर्ख़ लावे की तरह तप के निखरना सीखो

  - Yaqoob Rahi

surkh laave ki tarah tap ke nikhrana seekho
sookhi dharti ki daraaron se ubharna seekho

seena-e-dasht mein rah rah ke utarte jaao
ya phir aandhi ki tarah khul ke guzarna seekho

kohsaaron pe chadho abr-e-ravaan ki soorat
aabshaaron ki tarah gir ke bikhrna seekho

maqtal-e-shehr mein jab harf-e-wafaa kho jaaye
tum kisi cheekh ki maanind ubharna seekho

सुर्ख़ लावे की तरह तप के निखरना सीखो
सूखी धरती की दरारों से उभरना सीखो

सीना-ए-दश्त में रह रह के उतरते जाओ
या फिर आँधी की तरह खुल के गुज़रना सीखो

कोहसारों पे चढ़ो अब्र-ए-रवाँ की सूरत
आबशारों की तरह गिर के बिखरना सीखो

मक़्तल-ए-शहर में जब हर्फ़-ए-वफ़ा खो जाए
तुम किसी चीख़ की मानिंद उभरना सीखो

  - Yaqoob Rahi

Bijli Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yaqoob Rahi

As you were reading Shayari by Yaqoob Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Yaqoob Rahi

Similar Moods

As you were reading Bijli Shayari Shayari