bojh tha taarikee ka jo aaj chhutkaara mila | बोझ था तारीकी का जो आज छुटकारा मिला - Achyutam Yadav 'Abtar'

bojh tha taarikee ka jo aaj chhutkaara mila
chaand bhi hairaan kiski jeb se taara mila

jab bhi khuddaari hui shaamil kisi bhi baazi mein
jeeta bhi main hi wahan aur phir main hi haara mila

kyun samandar ko hi kosen uske meethe hone par
jab yahan apne kuein ka paani hi khaara mila

mar ke unko to jahannam bhi munaasib lagta hai
zindagi ki dhaar se insaan jo bhi maara mila

saansen bhi antim nishaani hoti hain ye maana tab
jab hamein uska fulaaya ek gubbaara mila

mere dil aur jism ik dooje ko paane se rahe
jism deewaron mein hai aur dil bhi banjaara mila

बोझ था तारीकी का जो आज छुटकारा मिला
चाँद भी हैरान किसकी जेब से तारा मिला

जब भी ख़ुद्दारी हुई शामिल किसी भी बाज़ी में
जीता भी मैं ही वहाँ और फिर मैं ही हारा मिला

क्यों समंदर को ही कोसें उसके मीठे होने पर
जब यहाँ अपने कुएँ का पानी ही ख़ारा मिला

मर के उनको तो जहन्नम भी मुनासिब लगता है
ज़िन्दगी की धार से इंसाँ जो भी मारा मिला

साँसें भी अंतिम निशानी होती हैं ये माना तब
जब हमें उसका फुलाया एक गुब्बारा मिला

मेरे दिल और जिस्म इक दूजे को पाने से रहे
जिस्म दीवारों में है और दिल भी बंजारा मिला

- Achyutam Yadav 'Abtar'
1 Like

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari