chat ke oopar hi aasmaan kyun hai
uske neeche hi ye makaan kyun hai
maine to apni rooh ko becha
jism mera yahaan-wahaan kyun hai
aag to zindagi mein lagaaee thi
phir meri qabr mein dhuaan kyun hai
jab muqaddar mein faasla nahin tha
faasla apne darmiyaan kyun hai
duniya barbaad karne ka hai sawaal
ham sabhi ke labon pe haan kyun hai
aankhon ka dariya sookh saka hai par
dil ke aangan mein ye khizaan kyun hai
छत के ऊपर ही आसमाँ क्यों है
उसके नीचे ही ये मकाँ क्यों है
मैंने तो अपनी रूह को बेचा
जिस्म मेरा यहाँ-वहाँ क्यों है
आग तो ज़ीस्त में लगाई थी
फिर मिरी क़ब्र में धुआँ क्यों है
जब मुक़द्दर में फ़ासला नहीं था
फ़ासला अपने दरमियाँ क्यों है
दुनिया बर्बाद करने का है सवाल
हम सभी के लबों पे हाँ क्यों है
आँखों का दरिया सूख सकता है पर
दिल के आँगन में ये ख़िज़ाँ क्यों है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Lab Shayari Shayari