aaina dekho dil-e-aazaar ka
gham bahut dikhega mere yaar ka
kya milega sukh mujhe dildaar ka
kya milega sukh mujhe iqraar ka
chahta koi mujhe hai hi nahin
haal kya aala hai mujh bekar ka
aap dekho socho samjho parkho bhi
par maza aise nahin hai pyaar ka
hausla mat kho tatolo haar ko
kya bacha hai paas tere haar ka
saansey kuchh pal meri tham si jaati hain
ye bhi jalwa hai tere deedaar ka
mahz usne is liye chhoda mujhe
ghaata hi tha mere kaarobaar ka
jaan se nazdeek hai vo but mere
usko dar hai paison ki bas maar ka
ishq andha hota hai kahte hain par
haal ye hai bas deewane yaar ka
yaad hai pehli dafa milne ka din
jaan meri din tha vo itwaar. ka
ro na saka hoon na main hans saka hoon
mas'ala jaane hua kya pyaar ka
आइना देखो दिल-ए-आज़ार का
ग़म बहुत दिक्खेगा मेरे यार का
क्या मिलेगा सुख मुझे दिलदार का
क्या मिलेगा सुख मुझे इक़रार का
चाहता कोई मुझे है ही नहीं
हाल क्या आला है मुझ बेकार का
आप देखो सोचो समझो परखो भी
पर मज़ा ऐसे नहीं है प्यार का
हौसला मत खो टटोलो हार को
क्या बचा है पास तेरे हार का
साँसे कुछ पल मेरी थम सी जाती हैं
ये भी जलवा है तेरे दीदार का
महज़ उसने इस लिए छोड़ा मुझे
घाटा ही था मेरे कारोबार का
जान से नज़दीक है वो बुत मेरे
उसको डर है पैसों की बस मार का
इश्क़ अंधा होता है कहते हैं पर
हाल ये है बस दिवाने यार का
याद है पहली दफ़ा मिलने का दिन
जान मेरी दिन था वो इतवार का
रो न सकता हूँ न मैं हँस सकता हूँ
मसअला जाने हुआ क्या प्यार का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Hausla Shayari Shayari