khaana khaane ke to itne laale hain | खाना खाने के तो इतने लाले हैं

  - Jagveer Singh

khaana khaane ke to itne laale hain
lab ke dono hi misron par chaale hain

ek atai'chi bhar kapde laaye the shehar
maa se door hue sab dhile-dhaale hain

baap kamaai par ham bhi the gore-gat
khud pe aaye hain bas tab se kaale hain

mere kamre mein hain jaane kitne ghar
chaaron konon mein jaale hi jaale hain

tere baghair tujh pe yun kehta hoon she'r
jaise kisi bewa ne bacche pale hain

खाना खाने के तो इतने लाले हैं
लब के दोनों ही मिसरों पर छाले हैं

एक अटैची भर कपड़े लाए थे शहर
माँ से दूर हुए सब ढीले-ढाले हैं

बाप कमाई पर हम भी थे गोरे-गट
ख़ुद पे आए हैं बस तब से काले हैं

मेरे कमरे में हैं जाने कितने घर
चारों कोनों में जाले ही जाले हैं

तेरे बग़ैर तुझ पे यूँ कहता हूँ शे'र
जैसे किसी बेवा ने बच्चे पाले हैं

  - Jagveer Singh

Father Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagveer Singh

As you were reading Shayari by Jagveer Singh

Similar Writers

our suggestion based on Jagveer Singh

Similar Moods

As you were reading Father Shayari Shayari