sikandar ho akbar ya hitler
gaye khaali sab lautkar ghar
zameen jeetne nikle the vo
jo lete zameen mein hi gadhkar
bura kya hai daaru mein aakhir
falon ke badhe daam sadkar
faqeeri ka apna maza hai
razaai falak farsh bistar
main tum mein hi to jeeta hoon jaan
kabhi dekho main se utarkar
सिकंदर हो अकबर या हिटलर
गए ख़ाली सब लौटकर घर
ज़मीं जीतने निकले थे वो
जो लेटे ज़मीं में ही गढ़कर
बुरा क्या है दारू में आख़िर
फलों के बढ़े दाम सड़कर
फ़क़ीरी का अपना मज़ा है
रज़ाई फ़लक फ़र्श बिस्तर
मैं तुम में ही तो जीता हूँ जाँ
कभी देखो मैं से उतरकर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagveer Singh
our suggestion based on Jagveer Singh
As you were reading Anjam Shayari Shayari