sakht mushkil hai ye safar mera | सख़्त मुश्किल है ये सफ़र मेरा - ''Kumar Aryan''

sakht mushkil hai ye safar mera
kaise hoga guzar-basar mera

waqt ne bhi sitam kiya mujhpar
cheenkar ke azeez-tar mera

chaanv deta tha jo mujhe vo bhi
hai khizaan deeda ab shajar mera

ho ijaazat jahaan se jaane ki
tha yahin tak miyaan safar mera

jinse aage nikal gaya main vo
kaatna chahte hain par mera

saanvare mujhko bhool mat jaana
tera dar hi hai ab to ghar mera

kaise kah doon kumar main tumse
haay jeevan hai mukhtasar mera

सख़्त मुश्किल है ये सफ़र मेरा
कैसे होगा गुज़र-बसर मेरा

वक़्त ने भी सितम किया मुझपर
छीनकर के अज़ीज़-तर मेरा

छाँव देता था जो मुझे वो भी
है ख़िज़ाँ दीदा अब शजर मेरा

हो इजाज़त जहाँ से जाने की
था यहीं तक मियाँ सफ़र मेरा

जिनसे आगे निकल गया मैं वो
काटना चाहते हैं पर मेरा

साँवरे मुझको भूल मत जाना
तेरा दर ही है अब तो घर मेरा

कैसे कह दूँ कुमार मैं तुमसे
हाय जीवन है मुख़्तसर मेरा

- ''Kumar Aryan''
0 Likes

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by ''Kumar Aryan''

As you were reading Shayari by ''Kumar Aryan''

Similar Writers

our suggestion based on ''Kumar Aryan''

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari