guzishta zindagi ke saare hi haalaat likh baitha | गुज़िश्ता ज़िन्दगी के सारे ही हालात लिख बैठा

  - SHABAN NAZIR

guzishta zindagi ke saare hi haalaat likh baitha
khyaal-e-yaar mein aakar main sab jazbaat likh baitha

kisi ke dard se waqif nahin hoon phir bhi jaane kyun
main apni baat ke baa'is sabhi ki baat likh baitha

muhabbat hai yahi yaaron yahi anjaam hai iska
main apni jeet ke qisse sunaakar maat likh baitha

khayaalon mein tire gesu qalam mein hai tira kaajal
tasavvur mein amaavas ki andheri raat likh baitha

mujhe maaloom hi kya tha khizaan pe baat karne thi
tumhein dekha to main bhi daf atan barsaat likh baitha

गुज़िश्ता ज़िन्दगी के सारे ही हालात लिख बैठा
ख़्याल-ए-यार में आकर मैं सब जज़्बात लिख बैठा

किसी के दर्द से वाक़िफ़ नहीं हूँ फिर भी जाने क्यों
मैं अपनी बात के बाइस सभी की बात लिख बैठा

मुहब्बत है यही यारों यही अंजाम है इसका
मैं अपनी जीत के क़िस्से सुनाकर मात लिख बैठा

ख़यालों में तिरे गेसू क़लम में है तिरा काजल
तसव्वुर में अमावस की अँधेरी रात लिख बैठा

मुझे मालूम ही क्या था ख़िज़ाँ पे बात करनी थी
तुम्हें देखा तो मैं भी दफ़ 'अतन बरसात लिख बैठा

  - SHABAN NAZIR

Jeet Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SHABAN NAZIR

As you were reading Shayari by SHABAN NAZIR

Similar Writers

our suggestion based on SHABAN NAZIR

Similar Moods

As you were reading Jeet Shayari Shayari