ye baat had se badh ke mujhe iztiraar thi
jo meri jeet thi mere dushman ki haar thi
ai aane waale aa gaya tu tera shukriya
koi nigaah tere liye be-qaraar thi
jo neend chhod aaya tha raaste pe ishq ke
vo neend pusht-e-chashm ke oopar sawaar thi
odhi thi meri aankhon ne jo khwaab ki rida
har rukh se khwaab ki vo rida taar taar thi
dil ke chaman mein hijr ki aandhi jo aayi thi
barbaadi ki shajar ke wahi zimmedaar thi
ये बात हद से बढ़ के मुझे इज़्तिरार थी
जो मेरी जीत थी मिरे दुश्मन की हार थी
ऐ आने वाले आ गया तू तेरा शुक्रिया
कोई निगाह तेरे लिए बे-क़रार थी
जो नींद छोड़ आया था रस्ते पे इश्क़ के
वो नींद पुश्त-ए-चश्म के ऊपर सवार थी
ओढ़ी थी मेरी आँखों ने जो ख़्वाब की रिदा
हर रुख़ से ख़्वाब की वो रिदा तार तार थी
दिल के चमन में हिज्र की आँधी जो आई थी
बर्बादी की शजर के वही ज़िम्मेदार थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Ishq Shayari Shayari