jo tire dil mein nahin hai tu bhi usko gair kar | जो तिरे दिल में नहीं है तू भी उसको ग़ैर कर

  - Shayar Danish

jo tire dil mein nahin hai tu bhi usko gair kar
jo tira qaateel hai tu bhi jee laga ke bair kar

tu ne toda hai mera dil yaad rakhna hai sada
tera ab dil tootaa hai ai khuda tu khair kar

ham bhi guzre hain sanam tere diye har zakham se
be-wafai ka ye dariya paar kar tu tair kar

zakhmi dil haathon mein lekar ham bhi jaate the wahan
dard ki mehfil hai vo tu bhi wahan ja sair kar

tujh ko chaaha dil se chaaha ye khata apni bhi hai
mera dil kehta hai daanish ab tu usse bair kar

जो तिरे दिल में नहीं है तू भी उसको ग़ैर कर
जो तिरा क़ातिल है तू भी जी लगा के बैर कर

तू ने तोड़ा है मेरा दिल याद रखना है सदा
तेरा अब दिल टूटता है ऐ ख़ुदा तू ख़ैर कर

हम भी गुज़रे हैं सनम तेरे दिए हर ज़ख़्म से
बे-वफ़ाई का ये दरिया पार कर तू तैर कर

ज़ख़्मी दिल हाथों में लेकर हम भी जाते थे वहाँ
दर्द की महफ़िल है वो तू भी वहाँ जा सैर कर

तुझ को चाहा दिल से चाहा ये ख़ता अपनी भी है
मेरा दिल कहता है ''दानिश'' अब तू उस्से बैर कर

  - Shayar Danish

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari