hunar zindagi ka sikha doonga main
are sabko aalim bana doonga main
khuda ho ya haakim ya koii wazeer
are ungliyon par nacha doonga main
ghareebi ameeri mein kya farq hai
jo zinda raha to dikha doonga main
mujhe dar nahin hai kisi ka koii
khuda bhi mila to suna doonga main
bhikaari isi mulk ke hain sabhi
inhen inka haq bhi dila doonga main
abhi kaam se ja raha hoon kahin
wafa phir kisi din sikha doonga main
vo kyun dekhta hai mujhe aajkal
chal iska sabab bhi bata doonga main
jo maata-pitaa ko agar kuchh hua
zameen aasmaan ko hila doonga main
हुनर ज़िंदगी का सिखा दूँगा मैं
अरे सबको आलिम बना दूँगा मैं
ख़ुदा हो या हाकिम या कोई वजीर
अरे उँगलियों पर नचा दूँगा मैं
ग़रीबी अमीरी में क्या फ़र्क़ है
जो ज़िंदा रहा तो दिखा दूँगा मैं
मुझे डर नहीं है किसी का कोई
ख़ुदा भी मिला तो सुना दूँगा मैं
भिकारी इसी मुल्क के हैं सभी
इन्हें इनका हक़ भी दिला दूँगा मैं
अभी काम से जा रहा हूँ कहीं
वफ़ा फिर किसी दिन सिखा दूँगा मैं
वो क्यूँ देखता है मुझे आजकल
चल इसका सबब भी बता दूँगा मैं
जो माता-पिता को अगर कुछ हुआ
ज़मीं आसमाँ को हिला दूँगा मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Life Shayari Shayari