mehfil mein teri khoob sataaya gaya mujhe | महफ़िल में तेरी ख़ूब सताया गया मुझे

  - Prashant Kumar

mehfil mein teri khoob sataaya gaya mujhe
hansne laga to phir se rulaaya gaya mujhe

har baar zinda dekhke hairaan the sabhi
so aaj se akela bulaaya gaya mujhe

hoti thi daastaan mere naam se kabhi
aur aaj har zabaan se mitaaya gaya mujhe

sansaar mein na apna tha na gair tha koi
to bol kiske haath jalaya gaya mujhe

jo shakhs thookta tha mere thopde pe kal
aaj uske roo-b-roo hi bithaaya gaya mujhe

pehle to haath se ye zabaan kaat di gai
phir saamne sabhi ke hansaaya gaya mujhe

do-chaar boonden ashk ki baaki bachi theen jo
vo chheenne ke baad rulaaya gaya mujhe

meri chamak dhamak to maraasim tujhi se hai
raunaq tire hi ghar ki bataaya gaya mujhe

महफ़िल में तेरी ख़ूब सताया गया मुझे
हँसने लगा तो फिर से रुलाया गया मुझे

हर बार ज़िंदा देखके हैरान थे सभी
सो आज से अकेले बुलाया गया मुझे

होती थी दास्तान मिरे नाम से कभी
और आज हर ज़बाँ से मिटाया गया मुझे

संसार में न अपना था न गैर था कोई
तो बोल किसके हाथ जलाया गया मुझे

जो शख़्स थूकता था मिरे थोपड़े पे कल
आज उसके रू-ब-रू ही बिठाया गया मुझे

पहले तो हाथ से ये ज़बाँ काट दी गई
फिर सामने सभी के हँसाया गया मुझे

दो-चार बूँदें अश्क की बाक़ी बची थीं जो
वो छीनने के बाद रुलाया गया मुझे

मेरी चमक धमक तो मरासिम तुझी से है
रौनक़ तिरे ही घर की बताया गया मुझे

  - Prashant Kumar

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari