mohabbat ko khatre mein daala gaya hai | मोहब्बत को ख़तरे में डाला गया है

  - Prashant Kumar

mohabbat ko khatre mein daala gaya hai
hawaon mein sikka uchhaala gaya hai

yahan door tak bastiyaan bhi nahin hain
to phir kaun karke ujaala gaya hai

ki maa ne to ahl-e-zameen ko sambhaala
magar maa ko kis se sambhaala gaya hai

hai khaamosh aangan hai chaukhat bhi sooni
kisi ko to ghar se nikala gaya hai

usi saanp kii kar rahe pooja jiske
abhi tan se bhaala nikala gaya hai

falak se bhi ooncha hai saaya pitaa ka
khuda ka bhi ismein shivaala gaya hai

agar tum nahin hote bhookha hi marta
tumhaari wajah se nivaala gaya hai

मोहब्बत को ख़तरे में डाला गया है
हवाओं में सिक्का उछाला गया है

यहाँ दूर तक बस्तियाँ भी नहीं हैं
तो फिर कौन करके उजाला गया है

कि माँ ने तो अहल-ए-ज़मीं को सँभाला
मगर माँ को किससे सँभाला गया है

है ख़ामोश आँगन है चौखट भी सूनी
किसी को तो घर से निकाला गया है

उसी साँप की कर रहे पूजा जिसके
अभी तन से भाला निकाला गया है

फ़लक से भी ऊँचा है साया पिता का
ख़ुदा का भी इसमें शिवाला गया है

अगर तुम नहीं होते भूखा ही मरता
तुम्हारी वजह से निवाला गया है

  - Prashant Kumar

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari