safar aashiqi ka na aasaan hoga
hamein dekh lega to hairaan hoga
manaa kar raha dil lagaane se to vo
mohabbat mein thoda sa naadaan hoga
idhar aake baithe hain to unka beshak
nigaahen milaane ka armaan hoga
hamaari khata tum agar bakhsh doge
tumhaara bahut phir to ehsaan hoga
are yaar main khuld mein ja raha hoon
mere saath tu bhi pareshaan hoga
mohabbat nahin to nazar kyun milaai
yahi soch kar dil pareshaan hoga
hamaari nazar mein to kuchh bhi nahin hai
tumhaari nazar mein vo insaan hoga
zameen aasmaan mein kahin bhi nahin hai
to in pattharon mein ki bhagwaan hoga
suna hai gali mein dikhaai diye hain
zaroor aaj bose ka armaan hoga
सफ़र आशिक़ी का न आसान होगा
हमें देख लेगा तो हैरान होगा
मना कर रहा दिल लगाने से तो वो
मोहब्बत में थोड़ा सा नादान होगा
इधर आके बैठे हैं तो उनका बेशक
निगाहें मिलाने का अरमान होगा
हमारी ख़ता तुम अगर बख़्श दोगे
तुम्हारा बहुत फिर तो एहसान होगा
अरे यार मैं ख़ुल्द में जा रहा हूँ
मिरे साथ तू भी परेशान होगा
मोहब्बत नहीं तो नज़र क्यूँ मिलाई
यही सोच कर दिल परेशान होगा
हमारी नज़र में तो कुछ भी नहीं है
तुम्हारी नज़र में वो इंसान होगा
ज़मीं आसमाँ में कहीं भी नहीं है
तो इन पत्थरों में कि भगवान होगा
सुना है गली में दिखाई दिए हैं
ज़रूर आज बोसे का अरमान होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Udas Shayari Shayari