baandhe agar jo duniya kisi dor se mujhe
to kheench lena apni taraf zor se mujhe
kuchh bol aur kaat de khaamoshiyon ka jaal
vehshat hai yaar itne ghane shor se mujhe
daakhil hoon tere dil mein dabey paanv kis tarah
ye kaam seekhna hai kisi chor se mujhe
ve pooche meri khwaahishein to main use kahoon
ik wa'da chahiye tha tiri or se mujhe
marne ki baat laaya hi tha main zabaan par
gusse mein us ne daanta bahut zor se mujhe
बाँधे अगर जो दुनिया किसी डोर से मुझे
तो खींच लेना अपनी तरफ़ ज़ोर से मुझे
कुछ बोल और काट दे ख़ामोशियों का जाल
वहशत है यार इतने घने शोर से मुझे
दाख़िल हूँ तेरे दिल में दबे पाँव किस तरह
ये काम सीखना है किसी चोर से मुझे
वे पूछे मेरी ख़्वाहिशें तो मैं उसे कहूँ
इक वा'दा चाहिए था तिरी ओर से मुझे
मरने की बात लाया ही था मैं ज़बान पर
ग़ुस्से में उस ने डाँटा बहुत ज़ोर से मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Azeem
our suggestion based on Ahmad Azeem
As you were reading Aahat Shayari Shayari