chhoti chhoti baaton par tum khoob tamasha karti ho
tum ko dekh ke kaun kahega ik munsif ki beti ho
ye bhi ik kaaran tha tum se apne raaz chhupaane ka
chahe jitna samjhaao tum duniya se kah deti ho
waqt ke rahte baig mein tum ne apne kapde rakhe nai
gaadi chhoot rahi hai ab kyun dekh ke mujh ko roti ho
duniya kya kya soch rahi hai ham dono ke baare mein
main kis kis ko batlaaoon tum jaldi se so jaati ho
toka-taaki bas ik had tak theek nateeja deti hai
baccha bigadta hai gar us pe be-matlab ki sakhti ho
छोटी छोटी बातों पर तुम ख़ूब तमाशा करती हो
तुम को देख के कौन कहेगा इक मुंसिफ़ की बेटी हो
ये भी इक कारन था तुम से अपने राज़ छुपाने का
चाहे जितना समझाओ तुम दुनिया से कह देती हो
वक़्त के रहते बैग में तुम ने अपने कपड़े रक्खे नईं
गाड़ी छूट रही है अब क्यूँ देख के मुझ को रोती हो
दुनिया क्या क्या सोच रही है हम दोनों के बारे में
मैं किस किस को बतलाऊँ तुम जल्दी से सो जाती हो
टोका-टाकी बस इक हद तक ठीक नतीजा देती है
बच्चा बिगड़ता है गर उस पे बे-मतलब की सख़्ती हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Azeem
our suggestion based on Ahmad Azeem
As you were reading Muflisi Shayari Shayari