khilaaf tha na zamaana na waqt aisa tha | ख़िलाफ़ था न ज़माना न वक़्त ऐसा था - Ahmad Azeem

khilaaf tha na zamaana na waqt aisa tha
jo sochie to yahi hai na bakht aisa tha

bahaar-rut mein bhi shaakhon ke haath khaali the
khile na phool ki mausam hi sakht aisa tha

diye hain zakham kuch aise ki bhar saken na kabhi
ye aur baat ki vo gul-b-dast aisa tha

shua-e-mehr hi aayi na chaandni utri
main kya kahoon ki mere dil ka dasht aisa tha

fazaa-e-shaam ki rangeen kar gaya hai qaba
ghuroob-e-mehr gulaabon ke tasht aisa tha

koi charaagh dareechon pe rakh ke kya karta
har ek samt hawaon ka gasht aisa tha

vo chaandni to na thi chaandni ke tukde the
ki mahtaab mera lakht lakht aisa tha

kisi safar mein bhi bojhal hue na mere qadam
kahi bhi baith gaya saaz-o-rakht aisa tha

palat ke aaye na phir kaarwaan-e-ahl-e-wafa
mohabbaton ki masafat ka dasht aisa tha

amaan baant raha tha musafiron mein azeem
ghaneeri chaanv lutaata darakht aisa tha

ख़िलाफ़ था न ज़माना न वक़्त ऐसा था
जो सोचिए तो यही है ना बख़्त ऐसा था

बहार-रुत में भी शाख़ों के हाथ ख़ाली थे
खिले न फूल कि मौसम ही सख़्त ऐसा था

दिए हैं ज़ख़्म कुछ ऐसे कि भर सकें न कभी
ये और बात कि वो गुल-ब-दस्त ऐसा था

शुआ-ए-मेहर ही आई न चाँदनी उतरी
मैं क्या कहूँ कि मिरे दिल का दश्त ऐसा था

फ़ज़ा-ए-शाम की रंगीन कर गया है क़बा
ग़ुरूब-ए-मेहर गुलाबों के तश्त ऐसा था

कोई चराग़ दरीचों पे रख के क्या करता
हर एक सम्त हवाओं का गश्त ऐसा था

वो चाँदनी तो न थी चाँदनी के टुकड़े थे
कि माहताब मिरा लख़्त लख़्त ऐसा था

किसी सफ़र में भी बोझल हुए न मेरे क़दम
कहीं भी बैठ गया साज़-ओ-रख़्त ऐसा था

पलट के आए न फिर कारवान-ए-अहल-ए-वफ़ा
मोहब्बतों की मसाफ़त का दश्त ऐसा था

अमान बाँट रहा था मुसाफ़िरों में 'अज़ीम'
घनेरी छाँव लुटाता दरख़्त ऐसा था

- Ahmad Azeem
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Azeem

As you were reading Shayari by Ahmad Azeem

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Azeem

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari