ik tabassum ka tha sauda ham ko
tu ne saste mein khareeda ham ko
mauj-dar-mauj hai gham-ha-e-firaq
paar karna hai ye dariya ham ko
bhoolte jaate hain tujh ko jaanaan
zakham de phir koi taaza ham ko
baith jaate kisi deewaar ke saath
kab hua ye bhi gawara ham ko
ai falak thodi si rahmat ham par
ai zameen thoda sa tukda ham ko
इक तबस्सुम का था सौदा हम को
तू ने सस्ते में ख़रीदा हम को
मौज-दर-मौज है ग़म-हा-ए-फ़िराक़
पार करना है ये दरिया हम को
भूलते जाते हैं तुझ को जानाँ
ज़ख़्म दे फिर कोई ताज़ा हम को
बैठ जाते किसी दीवार के साथ
कब हुआ ये भी गवारा हम को
ऐ फ़लक थोड़ी सी रहमत हम पर
ऐ ज़मीं थोड़ा सा टुकड़ा हम को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Azeem
our suggestion based on Ahmad Azeem
As you were reading Aasman Shayari Shayari