jee rahe hain aafiyat mein to hunar khwaabon ka hai | जी रहे हैं आफ़ियत में तो हुनर ख़्वाबों का है - Ain Tabish

jee rahe hain aafiyat mein to hunar khwaabon ka hai
ab bhi lagta hai ki ye saara safar khwaabon ka hai

jee laga rakha hai yun ta'beer ke awhaam se
zindagi kya hai miyaan bas ek ghar khwaabon ka hai

raat chalti rahti hai aur jalta rehta hai charaagh
ek bujhta hai to phir naqsh-e-digar khwaabon ka hai

rang bazaar-e-khirad ka aur ye mera junoon
ik sitaara gumbad-e-aflaak par khwaabon ka hai

raat ka dariya aur us mein ek toofaan-e-muhib
jaagna hai der tak ye bhi asar khwaabon ka hai

warna kat jaate hain roz o shab zamaane ki tarah
jo bhi thoda ya bahut samjho to dar khwaabon ka hai

जी रहे हैं आफ़ियत में तो हुनर ख़्वाबों का है
अब भी लगता है कि ये सारा सफ़र ख़्वाबों का है

जी लगा रक्खा है यूँ ता'बीर के औहाम से
ज़िंदगी क्या है मियाँ बस एक घर ख़्वाबों का है

रात चलती रहती है और जलता रहता है चराग़
एक बुझता है तो फिर नक़्श-ए-दिगर ख़्वाबों का है

रंग बाज़ार-ए-ख़िरद का और ये मेरा जुनूँ
इक सितारा गुम्बद-ए-अफ़्लाक पर ख़्वाबों का है

रात का दरिया और उस में एक तूफ़ान-ए-मुहीब
जागना है देर तक ये भी असर ख़्वाबों का है

वर्ना कट जाते हैं रोज़ ओ शब ज़माने की तरह
जो भी थोड़ा या बहुत समझो तो डर ख़्वाबों का है

- Ain Tabish
0 Likes

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Tabish

As you were reading Shayari by Ain Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Ain Tabish

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari