dil mera soz-e-nihaan se umr bhar betaab tha | दिल मिरा सोज़-ए-निहाँ से उम्र भर बेताब था - Ajay Sahaab

dil mera soz-e-nihaan se umr bhar betaab tha
kashti-e-dil ka muqaddar pur-khatr girdaab tha

waan ki aariz surkh tha rang-e-tila-e-naab se
yaa wufoor-e-ashk se mizgaan mera seemaab tha

jaise khoje kaafiron mein nikhat-e-imaan koi
haasil-e-haq is jahaan mein is qadar naayaab tha

waan ki us ko neend misl-e-maghfirat haasil rahi
yaa koi aazurdagi se taa-qazaa be-khwab tha

jab likha dil ka fasana bah gaya kaaghaz kahi
ashk the itne ravaan mera qalam pur-aab tha

she'r aise kah ke bhi haasil mera gum-naam hai
warna mera ye hunar to qaabil-e-alqaab tha

दिल मिरा सोज़-ए-निहाँ से उम्र भर बेताब था
कश्ती-ए-दिल का मुक़द्दर पुर-ख़तर गिर्दाब था

वाँ कि आरिज़ सुर्ख़ था रंग-ए-तिला-ए-नाब से
याँ वुफ़ूर-ए-अश्क से मिज़्गाँ मिरा सीमाब था

जैसे खोजे काफ़िरों में निकहत-ए-ईमाँ कोई
हासिल-ए-हक़ इस जहाँ में इस क़दर नायाब था

वाँ कि उस को नींद मिस्ल-ए-मग़्फ़िरत हासिल रही
याँ कोई आज़ुर्दगी से ता-क़ज़ा बे-ख़्वाब था

जब लिखा दिल का फ़साना बह गया काग़ज़ कहीं
अश्क थे इतने रवाँ मेरा क़लम पुर-आब था

शे'र ऐसे कह के भी हासिल मिरा गुम-नाम है
वर्ना मेरा ये हुनर तो क़ाबिल-ए-अलक़ाब था

- Ajay Sahaab
0 Likes

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajay Sahaab

As you were reading Shayari by Ajay Sahaab

Similar Writers

our suggestion based on Ajay Sahaab

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari