sehra-e-la-hudood mein tishna-labi ki khair
maahaul-e-ashk-baar mein lab ki hasi ki khair
lafzaaz saare ban gaye shaah-e-sukhan yahan
saadiq sukhan-varon ki sukhan-parvari ki khair
mashriq mein hind-o-cheen ke bazaar yun badhe
jaah-o-jalaal-e-maghrib-o-bartanvi ki khair
hai auraton ki dhoom zameen se falak talak
sai-e-baqa-e-shaukat-e-mardaanagi ki khair
arzaan hai musht-e-khaak se insaan ki hayaat
tahzeeb-e-qatl-o-khoon mein ab zindagi ki khair
har samt qatl-e-aam hai mazhab ke naam par
saari aqeedaton ki khuda-parvari ki khair
jamhooriyat ki laash pe taqat hai khanda-zan
is barhana nizaam mein har aadmi ki khair
saara watan samajh chuka dair-o-haram ka sach
bad-kaar rahbaraan ki baazigari ki khair
urdu ghazal ke naam pe chalte hain chutkule
ghalib ke faiz meer ki us sahiri ki khair
maghrib se aa gai yahan tahzeeb-e-barhana
mashriq tiri rivaayati paakizagi ki khair
andhe parakh rahe yahan me'ar-e-roshni
deedaar-e-hunr tiri deeda-wari ki khair
सहरा-ए-ला-हुदूद में तिश्ना-लबी की ख़ैर
माहौल-ए-अश्क-बार में लब की हँसी की ख़ैर
लफ़्फ़ाज़ सारे बन गए शाह-ए-सुख़न यहाँ
सादिक़ सुख़न-वरों की सुख़न-परवरी की ख़ैर
मशरिक़ में हिन्द-ओ-चीन के बाज़ार यूँ बढ़े
जाह-ओ-जलाल-ए-मग़रिब-ओ-बरतानवी की ख़ैर
है औरतों की धूम ज़मीं से फ़लक तलक
सइ-ए-बक़ा-ए-शौकत-ए-मर्दानगी की ख़ैर
अर्ज़ां है मुश्त-ए-ख़ाक से इंसान की हयात
तहज़ीब-ए-क़त्ल-ओ-ख़ून में अब ज़िंदगी की ख़ैर
हर सम्त क़त्ल-ए-आम है मज़हब के नाम पर
सारी अक़ीदतों की खुदा-परवरी की ख़ैर
जम्हूरियत की लाश पे ताक़त है ख़ंदा-ज़न
इस बरहना निज़ाम में हर आदमी की ख़ैर
सारा वतन समझ चुका दैर-ओ-हरम का सच
बद-कार रहबरान की बाज़ीगरी की ख़ैर
उर्दू ग़ज़ल के नाम पे चलते हैं चुटकुले
ग़ालिब के फ़ैज़ 'मीर' की उस साहिरी की ख़ैर
मग़रिब से आ गई यहाँ तहज़ीब-ए-बरहना
मशरिक़ तिरी रिवायती पाकीज़गी की ख़ैर
अंधे परख रहे यहाँ मेआ'र-ए-रौशनी
दीदावर-ए-हुनर तिरी दीदा-वरी की ख़ैर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajay Sahaab
our suggestion based on Ajay Sahaab
As you were reading Life Shayari Shayari