bikhra hoon jab main khud yahan koi mujhe giraaye kyun | बिखरा हूँ जब मैं ख़ुद यहाँ कोई मुझे गिराए क्यूँ - Ajay Sahaab

bikhra hoon jab main khud yahan koi mujhe giraaye kyun
pehle se raakh raakh hoon phir bhi koi bujaaye kyun

eesa na vo nabi koi adnaa sa aadmi koi
phir bhi saleeb-e-dard ko sar pe koi uthaaye kyun

saare jo gham-gusaar the kab ke raqeeb ban chuke
aise mein doston koi apna ye gham sunaaye kyun

yaktaa vo zaat-e-akbari dil ye haqiro asghari
itni wasi'a shay bhala dil mein mere samaaye kyun

palta hamaare khun se hai ishq magar adoo se hai
apna nahin jo bewafa hum ko yun aazmaaye kyun

subh ka waqt aaye to khud hi bujhega ye charaagh
is ko sehar se peshtar koi magar bujaaye kyun

jis par giri hai barq bhi jis pe hawa ki hai nazar
shaakhon mein aisi ai sahaab ghar bhi koi banaaye kyun

बिखरा हूँ जब मैं ख़ुद यहाँ कोई मुझे गिराए क्यूँ
पहले से राख राख हूँ फिर भी कोई बुझाए क्यूँ

ईसा न वो नबी कोई अदना सा आदमी कोई
फिर भी सलीब-ए-दर्द को सर पे कोई उठाएँ क्यूँ

सारे जो ग़म-गुसार थे कब के रक़ीब बन चुके
ऐसे में दोस्तों कोई अपना ये ग़म सुनाए क्यूँ

यकता वो ज़ात-ए-अकबरी दिल ये हक़ीरो असग़री
इतनी वसीअ' शय भला दिल में मिरे समाए क्यूँ

पलता हमारे ख़ूँ से है इश्क़ मगर अदू से है
अपना नहीं जो बेवफ़ा हम को यूँ आज़माए क्यूँ

सुब्ह का वक़्त आए तो ख़ुद ही बुझेगा ये चराग़
इस को सहर से पेशतर कोई मगर बुझाए क्यूँ

जिस पर गिरी है बर्क़ भी जिस पे हवा की है नज़र
शाख़ों में ऐसी ऐ 'सहाब' घर भी कोई बनाए क्यूँ

- Ajay Sahaab
0 Likes

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajay Sahaab

As you were reading Shayari by Ajay Sahaab

Similar Writers

our suggestion based on Ajay Sahaab

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari