mere andar jo ik faqiri hai | मेरे अंदर जो इक फ़क़ीरी है - Ajay Sahaab

mere andar jo ik faqiri hai
ye hi sab se badi ameeri hai

kuch nahin hai magar sabhi kuch hai
dekh kaisi jahaan-geeri hai

pankhudi ik gulaab ke jaisi
mere sher'on mein aisi meeri hai

she'r kehta hai bech deta hai
tujhmein kaisi ye laa-zameeri hai

tujh se rishta kabhi nahin suljhaa
us ki fitrat hi kaashmiri hai

rooh aur jism surkh hain khun se
phir bhi ye pairhan hareeri hai

मेरे अंदर जो इक फ़क़ीरी है
ये ही सब से बड़ी अमीरी है

कुछ नहीं है मगर सभी कुछ है
देख कैसी जहान-गीरी है

पंखुड़ी इक गुलाब के जैसी
मेरे शे'रों में ऐसी मीरी है

शे'र कहता है बेच देता है
तुझमें कैसी ये ला-ज़मीरी है

तुझ से रिश्ता कभी नहीं सुलझा
उस की फ़ितरत ही काश्मीरी है

रूह और जिस्म सुर्ख़ हैं ख़ूँ से
फिर भी ये पैरहन हरीरी है

- Ajay Sahaab
0 Likes

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajay Sahaab

As you were reading Shayari by Ajay Sahaab

Similar Writers

our suggestion based on Ajay Sahaab

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari