jo kal hairaan the un ko pareshaan kar ke chhodunga
main ab aaina-e-hasti ko hairaan kar ke chhodunga
dikha doonga tamasha di agar furqat zamaane ne
tamaashaae-e-faraavan ko faraawan kar ke chhodunga
kiya tha ishq ne taaraaj jis sehan-e-gulistaan ko
main ab us par mohabbat ko nigahbaan kar ke chhodunga
ayaan hai jo har ik zarre mein har khurshid mein ajmal
main us parda-nasheen ko ab numayaan kar ke chhodunga
जो कल हैरान थे उन को परेशाँ कर के छोड़ूँगा
मैं अब आईना-ए-हस्ती को हैराँ कर के छोड़ूँगा
दिखा दूँगा तमाशा दी अगर फ़ुर्सत ज़माने ने
तमाशाए-ए-फ़रावाँ को फ़रावाँ कर के छोड़ूँगा
किया था इश्क़ ने ताराज जिस सेहन-ए-गुलिस्ताँ को
मैं अब उस पर मोहब्बत को निगहबाँ कर के छोड़ूँगा
अयाँ है जो हर इक ज़र्रे में हर ख़ुर्शीद में 'अजमल'
मैं उस पर्दा-नशीं को अब नुमायाँ कर के छोड़ूँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajmal Siraj
our suggestion based on Ajmal Siraj
As you were reading Valentine Shayari Shayari