akela akela hi pa li rihaai
mujhe maare jaati hai teri judaai
ye aahang-e-naghma ye rang-e-taghazzul
har ik cheez teri hi khaatir rachaai
mari jaan ye kaisa sitam waqt ka hai
hai meri hi qismat mein nauha-saraai
sitaaron ki gardish dilon ka bichadna
ye kaise khuda ki hai kaisi khudaai
na poocho abhi haal aahan ka yaaro
kabhi jaan-b-lab hai kabhi jaan-fidaai
अकेले अकेले ही पा ली रिहाई
मुझे मारे जाती है तेरी जुदाई
ये आहंग-ए-नग़्मा ये रंग-ए-तग़ज़्ज़ुल
हर इक चीज़ तेरी ही ख़ातिर रचाई
मरी जाँ ये कैसा सितम वक़्त का है
है मेरी ही क़िस्मत में नौहा-सराई
सितारों की गर्दिश दिलों का बिछड़ना
ये कैसे ख़ुदा की है कैसी ख़ुदाई
न पूछो अभी हाल 'आहन' का यारो
कभी जाँ-ब-लब है कभी जाँ-फ़िदाई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhlaq Ahmad Ahan
our suggestion based on Akhlaq Ahmad Ahan
As you were reading Khuda Shayari Shayari