laga ke aag bujhaane ki baat karte ho | लगा के आग बुझाने की बात करते हो - Akhlaq Ahmad Ahan

laga ke aag bujhaane ki baat karte ho
fafoole dil mein sajaane ki baat karte ho

nahin samjhte meri haalat-e-daroo ko tum
faqat jo karte bahaane ki baat karte ho

sunaau main jo kabhi haal apni ulfat ka
suboot mujh se dikhaane ki baat karte ho

guzaar kar main yahan aaya hoon shab-e-zulmat
karam na kar ke jalane ki baat karte ho

jo poochta hoon kabhi be-rukhi ki main illat
bana ke baat banaane ki baat karte ho

kabhi sitam pe jo bharta hoon aah tab bhi to
mere lahu mein nahaane ki baat karte ho

tire huzoor mein aaya jo aahan-e-be-bas
pinhaa ke bedi na jaane ki baat karte ho

लगा के आग बुझाने की बात करते हो
फफूले दिल में सजाने की बात करते हो

नहीं समझते मिरी हालत-ए-दरूँ को तुम
फ़क़त जो करते बहाने की बात करते हो

सुनाऊँ मैं जो कभी हाल अपनी उल्फ़त का
सुबूत मुझ से दिखाने की बात करते हो

गुज़ार कर मैं यहाँ आया हूँ शब-ए-ज़ुल्मत
करम न कर के जलाने की बात करते हो

जो पूछता हूँ कभी बे-रुख़ी की मैं इल्लत
बना के बात बनाने की बात करते हो

कभी सितम पे जो भरता हूँ आह तब भी तो
मिरे लहू में नहाने की बात करते हो

तिरे हुज़ूर में आया जो आहन-ए-बे-बस
पिन्हा के बेड़ी न जाने की बात करते हो

- Akhlaq Ahmad Ahan
0 Likes

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhlaq Ahmad Ahan

As you were reading Shayari by Akhlaq Ahmad Ahan

Similar Writers

our suggestion based on Akhlaq Ahmad Ahan

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari