mein mehfil-e-hayaat mein hairaan sa raha | में महफ़िल-ए-हयात में हैरान सा रहा - Akhlaq Ahmad Ahan

mein mehfil-e-hayaat mein hairaan sa raha
har ek ki nigaah mein anjaan sa raha

kuch kar saka na shaam talak raah-e-shauq mein
har pal har ek gaam pe be-jaan sa raha

palkein utha ke dekh saka main na ek baar
mera khird junoon ka nigahbaan sa raha

raah-e-hayaat mein na mili ek pal khushi
gham ka ye bojh dosh pe samaan sa raha

boo-e-gul-o-saman ki tarah is jahaan mein
aahan tamaam umr pareshaan sa raha

में महफ़िल-ए-हयात में हैरान सा रहा
हर एक की निगाह में अंजान सा रहा

कुछ कर सका न शाम तलक राह-ए-शौक़ में
हर पल हर एक गाम पे बे-जान सा रहा

पलकें उठा के देख सका मैं न एक बार
मेरा ख़िरद जुनूँ का निगहबान सा रहा

राह-ए-हयात में न मिली एक पल ख़ुशी
ग़म का ये बोझ दोश पे सामान सा रहा

बू-ए-गुल-ओ-समन की तरह इस जहान में
'आहन' तमाम उम्र परेशान सा रहा

- Akhlaq Ahmad Ahan
0 Likes

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhlaq Ahmad Ahan

As you were reading Shayari by Akhlaq Ahmad Ahan

Similar Writers

our suggestion based on Akhlaq Ahmad Ahan

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari