hum aaj bazm-e-raqeebaan se surkh-roo aaye | हम आज बज़्म-ए-रक़ीबाँ से सुर्ख़-रू आए - Akhlaq Ahmad Ahan

hum aaj bazm-e-raqeebaan se surkh-roo aaye
ye hai ajeeb ki ab vo bhi hoo-b-hoo aaye

hai kaun yaa jo nahin jaam-o-may ka shaidai
ye kab ho aap hi chal kar kahi suboo aaye

sabhi ne jaan di teri gali mein ai hamdam
kise majaal ki ab tere roo-b-roo aaye

tire firaq mein hum ne bahaaye ashk-e-jigar
ye sab ne chaaha magar aaye to lahu aaye

hai ab kahaan vo wafa aur vo wafa-keshi
vo aur waqt tha hum dekh koo-b-koo aaye

हम आज बज़्म-ए-रक़ीबाँ से सुर्ख़-रू आए
ये है अजीब कि अब वो भी हू-ब-हू आए

है कौन याँ जो नहीं जाम-ओ-मय का शैदाई
ये कब हो आप ही चल कर कहीं सुबू आए

सभी ने जान दी तेरी गली में ऐ हमदम
किसे मजाल कि अब तेरे रू-ब-रू आए

तिरे फ़िराक़ में हम ने बहाए अश्क-ए-जिगर
ये सब ने चाहा मगर आए तो लहू आए

है अब कहाँ वो वफ़ा और वो वफ़ा-केशी
वो और वक़्त था हम देख कू-ब-कू आए

- Akhlaq Ahmad Ahan
0 Likes

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhlaq Ahmad Ahan

As you were reading Shayari by Akhlaq Ahmad Ahan

Similar Writers

our suggestion based on Akhlaq Ahmad Ahan

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari