tiri aashnaai se teri raza tak
meri baat pahunchee hai ab intiha tak
vo pehli nazar jis se ghaayal hua tha
vo pehli khata thi jo pahunchee khata tak
tiri shokhiyon ne bhi jurat badha di
yoonhi haath mere na pahunchen rida tak
kahaan tak ta'aqub mein firta raha main
nishaan tak zabaan tak ada tak likaa tak
vo jaadu adaayein adaaon mein jaadu
ye pahunchaayein ham ko fana se baqa tak
abhi tak vo saaz-e-sitam baj raha hai
jo pahuncha tha bhule se teri sada tak
तिरी आश्नाई से तेरी रज़ा तक
मिरी बात पहुँची है अब इंतिहा तक
वो पहली नज़र जिस से घायल हुआ था
वो पहली ख़ता थी जो पहुँची ख़ता तक
तिरी शोख़ियों ने भी जुरअत बढ़ा दी
यूँही हाथ मेरे न पहुँचे रिदा तक
कहाँ तक तआ'क़ुब में फिरता रहा मैं
निशाँ तक ज़बाँ तक अदा तक लिक़ा तक
वो जादू अदाएँ अदाओं में जादू
ये पहुँचाएँ हम को फ़ना से बक़ा तक
अभी तक वो साज़-ए-सितम बज रहा है
जो पहुँचा था भूले से तेरी सदा तक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhlaq Ahmad Ahan
our suggestion based on Akhlaq Ahmad Ahan
As you were reading Aankhein Shayari Shayari