charkh bhi choo len to jaana hai isee mitti mein | चर्ख़ भी छू लें तो जाना है इसी मिट्टी में - Akhlaque Bandvi

charkh bhi choo len to jaana hai isee mitti mein
mustaqil apna thikaana hai isee mitti mein

jin ke daaman pe kabhi chaand-sitaare chamke
dafan un ka bhi fasana hai isee mitti mein

be-amal haath lagaaye bhi to khaali jaaye
haan jafa-kash ka khazana hai isee mitti mein

is tarah chal ki ye paamaal na hone paaye
be-khabar aab hai daana hai isee mitti mein

ham-watan khaak-e-watan kyun na ho pyaari ki humein
ba'd-az-marg bhi jaana hai isee mitti mein

log kal kah ke tujhe yaad karenge akhlaaq
sha'ir-e-fakhr-e-zamaana hai isee mitti mein

चर्ख़ भी छू लें तो जाना है इसी मिट्टी में
मुस्तक़िल अपना ठिकाना है इसी मिट्टी में

जिन के दामन पे कभी चांद-सितारे चमके
दफ़न उन का भी फ़साना है इसी मिट्टी में

बे-अमल हाथ लगाए भी तो ख़ाली जाए
हाँ जफ़ा-कश का ख़ज़ाना है इसी मिट्टी में

इस तरह चल कि ये पामाल न होने पाए
बे-ख़बर आब है दाना है इसी मिट्टी में

हम-वतन ख़ाक-ए-वतन क्यूँ न हो प्यारी कि हमें
बा'द-अज़-मर्ग भी जाना है इसी मिट्टी में

लोग कल कह के तुझे याद करेंगे 'अख़लाक़'
शाइ'र-ए-फ़ख़्र-ए-ज़माना है इसी मिट्टी में

- Akhlaque Bandvi
0 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhlaque Bandvi

As you were reading Shayari by Akhlaque Bandvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhlaque Bandvi

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari