aab mein zaaika-e-sheer nahin ho saka | आब में ज़ाइक़ा-ए-शीर नहीं हो सकता - Ali Yasir

aab mein zaaika-e-sheer nahin ho saka
khwaab to khwaab hai taabeer nahin ho saka

mujh ko paaband-e-silaasil koi jitna kar le
par mera azm to zanjeer nahin ho saka

har taraf ghul hai shahenshah ki marzi ke baghair
ab koi lafz bhi tahreer nahin ho saka

rizq jaisa hai muqaddar mein likha hota hai
fan kisi shakhs ki jaageer nahin ho saka

ham ne darwaaza-e-mizgaan pe saja rakha hai
vo sitaara ki jo taskheer nahin ho saka

आब में ज़ाइक़ा-ए-शीर नहीं हो सकता
ख़्वाब तो ख़्वाब है ताबीर नहीं हो सकता

मुझ को पाबंद-ए-सलासिल कोई जितना कर ले
पर मिरा अज़्म तो ज़ंजीर नहीं हो सकता

हर तरफ़ ग़ुल है शहंशाह की मर्ज़ी के बग़ैर
अब कोई लफ़्ज़ भी तहरीर नहीं हो सकता

रिज़्क़ जैसा है मुक़द्दर में लिखा होता है
फ़न किसी शख़्स की जागीर नहीं हो सकता

हम ने दरवाज़ा-ए-मिज़्गाँ पे सजा रक्खा है
वो सितारा कि जो तस्ख़ीर नहीं हो सकता

- Ali Yasir
0 Likes

Hunar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Yasir

As you were reading Shayari by Ali Yasir

Similar Writers

our suggestion based on Ali Yasir

Similar Moods

As you were reading Hunar Shayari Shayari