zindagi ki kitaab dekhta hoon | ज़िंदगी की किताब देखता हूँ - Ali Yasir

zindagi ki kitaab dekhta hoon
kya hua intisaab dekhta hoon

tum bhi hote ho mere paas magar
main tumhaare hi khwaab dekhta hoon

ek chehra hai meri aankhon mein
kya gunaah-o-sawaab dekhta hoon

us ki ta'beer hai mera hona
maut ko mahv-e-khwaab dekhta hoon

chashm-o-lab gung hain ali-yaasir
saamne us ka baab dekhta hoon

ज़िंदगी की किताब देखता हूँ
क्या हुआ इंतिसाब देखता हूँ

तुम भी होते हो मेरे पास मगर
मैं तुम्हारे ही ख़्वाब देखता हूँ

एक चेहरा है मेरी आँखों में
क्या गुनाह-ओ-सवाब देखता हूँ

उस की ता'बीर है मिरा होना
मौत को महव-ए-ख़्वाब देखता हूँ

चश्म-ओ-लब गुंग हैं 'अली-यासिर'
सामने उस का बाब देखता हूँ

- Ali Yasir
0 Likes

Qabr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Yasir

As you were reading Shayari by Ali Yasir

Similar Writers

our suggestion based on Ali Yasir

Similar Moods

As you were reading Qabr Shayari Shayari