kuchh is tarah vo dua-o-salaam kar ke gaya
meri taraf hi rukh-e-intiqaam kar ke gaya
jahaan mein aaya tha insaan mohabbatein karne
jo kaam karna nahin tha vo kaam kar ke gaya
aseer hote gaye ba-dil-e-na-khwaasta log
ghulaam karna tha us ne ghulaam kar ke gaya
jo dard soye hue the vo ho gaye bedaar
ye mojza bhi mera khush-khiraam kar ke gaya
hai zindagi bhi wahi jo ho doosron ke liye
vo mohtaram hua jo ehtiraam kar ke gaya
ye sarzameen hai jalaal o jamaal o azmat ki
hai khush-naseeb yahan jo qayaam kar ke gaya
hai kaun shaair-e-khush-fikr kaun hai fankaar
ghazal bataayegi is mein naam kar ke gaya
asar hua na hua bazm par ali-yaasir
kalaam karna tha main ne kalaam kar ke gaya
कुछ इस तरह वो दुआ-ओ-सलाम कर के गया
मिरी तरफ़ ही रुख़-ए-इंतिक़ाम कर के गया
जहाँ में आया था इंसाँ मोहब्बतें करने
जो काम करना नहीं था वो काम कर के गया
असीर होते गए बा-दिल-ए-ना-ख़्वास्ता लोग
ग़ुलाम करना था उस ने ग़ुलाम कर के गया
जो दर्द सोए हुए थे वो हो गए बेदार
ये मोजज़ा भी मिरा ख़ुश-ख़िराम कर के गया
है ज़िंदगी भी वही जो हो दूसरों के लिए
वो मोहतरम हुआ जो एहतिराम कर के गया
ये सरज़मीं है जलाल ओ जमाल ओ अज़्मत की
है ख़ुश-नसीब यहाँ जो क़याम कर के गया
है कौन शाइर-ए-ख़ुश-फ़िक्र कौन है फ़नकार
ग़ज़ल बताएगी इस में नाम कर के गया
असर हुआ न हुआ बज़्म पर 'अली-यासिर'
कलाम करना था मैं ने कलाम कर के गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Yasir
our suggestion based on Ali Yasir
As you were reading Gham Shayari Shayari