poori hui jo hijr ki miyaad aavega
qaid-e-ana se ho ke vo azaad aavega
us but se jee laga na laga kya mujhe wale
phir kya karega jab vo tujhe yaad aavega
main to karoon hoon umr bhar ik dasht ka safar
kya hoga jab vo qarya-e-aabaad aavega
aavega ik se ek sukhnavar yahan magar
koi bhi meer jaisa na ustaad aavega
main us ko dekhta hoon to aata hai dhyaan mein
kis kaam us ke ye dil-e-barbaad aavega
main jab kaha ki gham se tabi'at bahaal hai
bola vo roz-e-hashr hi tu shaad aavega
waqif nahin hain aable sehra ki pyaas se
aur sochte hain qais pai-daad aavega
bazaar-e-hast-o-bood mein sheeshaagari meri
koh-e-junoon bhi sar pe mujhe laad aavega
पूरी हुई जो हिज्र की मीआद आवेगा
क़ैद-ए-अना से हो के वो आज़ाद आवेगा
उस बुत से जी लगा न लगा क्या मुझे वले
फिर क्या करेगा जब वो तुझे याद आवेगा
मैं तो करूँ हूँ उम्र भर इक दश्त का सफ़र
क्या होगा जब वो क़र्या-ए-आबाद आवेगा
आवेगा इक से एक सुखनवर यहाँ मगर
कोई भी 'मीर' जैसा न उस्ताद आवेगा
मैं उस को देखता हूँ तो आता है ध्यान में
किस काम उस के ये दिल-ए-बर्बाद आवेगा
मैं जब कहा कि ग़म से तबीअ'त बहाल है
बोला वो रोज़-ए-हश्र ही तू शाद आवेगा
वाक़िफ़ नहीं हैं आबले सहरा की प्यास से
और सोचते हैं क़ैस पए-दाद आवेगा
बाज़ार-ए-हस्त-ओ-बूद में शीशागरी मिरी
कोह-ए-जुनूँ भी सर पे मुझे लाद आवेगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Yasir
our suggestion based on Ali Yasir
As you were reading Musafir Shayari Shayari