saraapa tira kya qayamat nahin hai
idhar hashr si dil ki haalat nahin hai
mohabbat meri kya ibadat nahin hai
vo ik noor hai jis ki soorat nahin hai
tire in labon ko main tashbeeh kya doon
ki phoolon mein aisi nazaakat nahin hai
hai chaahat kahoon roop tera ghazal main
magar mujh mein husn-e-khitaabat nahin hai
bayaan ho rahi hai jo aankhon se teri
padhi main ne aisi hikaayat nahin hai
vo jab bolta hai madhur bolta hai
kisi shay mein aisi halaavat nahin hai
main taarif teri karoon bhi to kaise
zabaan-o-bayaan par vo qudrat nahin hai
hai khuddaar meri ghazal jaan-e-mehfil
par us ko jo bhaaye vo rangat nahin hai
सरापा तिरा क्या क़यामत नहीं है?
इधर हश्र सी दिल की हालत नहीं है
मोहब्बत मिरी क्या इबादत नहीं है
वो इक नूर है जिस की सूरत नहीं है
तिरे इन लबों को मैं तश्बीह क्या दूँ?
कि फूलों में ऐसी नज़ाकत नहीं है
है चाहत कहूँ रूप तेरा ग़ज़ल मैं
मगर मुझ में हुस्न-ए-ख़िताबत नहीं है
बयाँ हो रही है जो आँखों से तेरी
पढ़ी मैं ने ऐसी हिकायत नहीं है
वो जब बोलता है मधुर बोलता है
किसी शय में ऐसी हलावत नहीं है
मैं तारीफ़ तेरी करूँ भी तो कैसे?
ज़बान-ओ-बयाँ पर वो क़ुदरत नहीं है
है 'आलोक' मेरी ग़ज़ल जान-ए-महफ़िल
पर उस को जो भाए वो रंगत नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alok Yadav
our suggestion based on Alok Yadav
As you were reading Valentine Shayari Shayari