jahaan mein har bashar majboor ho aisa nahin hota | जहाँ में हर बशर मजबूर हो ऐसा नहीं होता

  - Ambar Kharbanda

jahaan mein har bashar majboor ho aisa nahin hota
har ik raahi se manzil door ho aisa nahin hota

ta'alluq tootne ka gham kabhi ham se bhi poocho tum
tumhaara zakham hi naasoor ho aisa nahin hota

gawaahon. ko to bik jaane ki majboori rahi hogi
hamein bhi faisla manzoor ho aisa nahin hota

mohabbat jurm hai to phir saza bhi ek jaisi ho
koi rusva koi mashhoor ho aisa nahin hota

kitaabon ki hain ye baatein kitaabon hi mein rahne do
koi muflis kabhi masroor ho aisa nahin hota

koi misra agar dil mein utar jaaye ghaneemat hai
taghazzul se ghazal bharpoor ho aisa nahin hota

kabhi peeta hai ambar zindagi ke gham bhulaane ko
vo har shab hi nashe mein choor ho aisa nahin hota

जहाँ में हर बशर मजबूर हो ऐसा नहीं होता
हर इक राही से मंज़िल दूर हो ऐसा नहीं होता

तअ'ल्लुक़ टूटने का ग़म कभी हम से भी पूछो तुम
तुम्हारा ज़ख़्म ही नासूर हो ऐसा नहीं होता

गवाहों को तो बिक जाने की मजबूरी रही होगी
हमें भी फ़ैसला मंज़ूर हो ऐसा नहीं होता

मोहब्बत जुर्म है तो फिर सज़ा भी एक जैसी हो
कोई रुस्वा कोई मशहूर हो ऐसा नहीं होता

किताबों की हैं ये बातें किताबों ही में रहने दो
कोई मुफ़्लिस कभी मसरूर हो ऐसा नहीं होता

कोई मिस्रा अगर दिल में उतर जाए ग़नीमत है
तग़ज़्ज़ुल से ग़ज़ल भरपूर हो ऐसा नहीं होता

कभी पीता है 'अम्बर' ज़िंदगी के ग़म भुलाने को
वो हर शब ही नशे में चूर हो ऐसा नहीं होता

  - Ambar Kharbanda

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ambar Kharbanda

As you were reading Shayari by Ambar Kharbanda

Similar Writers

our suggestion based on Ambar Kharbanda

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari