is se pehle ki kuchh bola jaaye
baat ko zehan mein tola jaaye
raaz phir raaz nahin rehta hai
raaz-e-dil sab se na khola jaaye
aib kitne hi dikhhenge ham ko
apne man ko jo tatola jaaye
man ki parvaaz bahut hai unchi
door tak man ka hindola jaaye
rishte bante hain madhur tab ambar
pyaar ka rang jo gholaa jaaye
इस से पहले कि कुछ बोला जाए
बात को ज़ेहन में तोला जाए
राज़ फिर राज़ नहीं रहता है
राज़-ए-दिल सब से न खोला जाए
ऐब कितने ही दिखेंगे हम को
अपने मन को जो टटोला जाए
मन की परवाज़ बहुत है ऊँची
दूर तक मन का हिण्डोला जाए
रिश्ते बनते हैं मधुर तब 'अंबर'
प्यार का रंग जो घोला जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amber Joshi
our suggestion based on Amber Joshi
As you were reading Diversity Shayari Shayari